Mere Aankho ki neende udane vale.
khuda kare tu sukun se soye,





Iske siva koi tammanna nhi ke aankhe band karu
aur chehra tera dikhe.






Ye rat ye ankhe ye bister ye kambal,
inhe bhi aadat hai ab khwab ki tere.




Ajib si kashmkas hai teri chahat ka,
tere sapne dikhe isliye sona chahta hu,
aur tu yaad aa rahi hai isliye neend nhi aa rahi,




Tod lo apna vada - kuchh nhi hoga,
Bus kuchh din neend nhi aayegi,
Jyada kuchh nhi hoga.




Tere din rat na jane kaise kat jate hai,
yaha ek pal nhi gujarta tere bina.




Bahut der ho gyi hai ab sabar rakhte - rakhte.
Thak gyi hai najre tujhpe najar rakhte - rakhte.
Jo misal deta tha duniya ko tajurbe k apni,
Khud ko bhul gya hai teri khabar rakhte - rakhte.




Bus isi ummed me sota hu ab har roj me,
aj shayad sapno me tum mil jao.




Dil ko tassali do aur sukun se so jao,
Jitne bhi tere paas hai, inme tera koi nhi.




Vo har roj mujhse puchhati hai ki tum raat me soye kyo nhi hai.
Unhe kaun samjhaye ki unki yaad sone de tab na.




Sochta hu raat bhar karwate badal badal kar.
Kya mera bina vo bhi so gya hoga..?




Mil gye ho aap ab khona nhi hai,
Ap k bina koi khwab sajona nhi hai,
Bahut si tammanna hai in ankho me ab
Bina ap ke ab inhe sona nhi hai.




Mere siva kisi aur ke hoke dikhao,
Bus tum mujhe bina yaad kiye so k dikhao.
jaan le lenge.





Vo mujhse puchhte hai ki kitna yaad aate hai hum tumhe,
unhe kaun bataye ki aankhe bhi chahti hai ki inme khwab bus unhi k ho.